حسن غمزے کی کشاکش سے چھٹا میرے بعد
Ghazal · Mirza Ghalib · مرزا غالب · 11 sher · Roman Urdu ke saath
husn ġhamze kī kashākash se chhuTā mere ba.adbaare ārām se haiñ ahl-e-jafā mere ba.ad
mansab-e-sheftagī ke koī qābil na rahāhuī māzūli-e-andāz-o-adā mere ba.ad
sham.a bujhtī hai to us meñ se dhuāñ uThtā haisho.ala-e-ishq siyah-posh huā mere ba.ad
ḳhuuñ hai dil ḳhaak meñ ahvāl-e-butāñ par ya.anīun ke nāḳhun hue mohatāj-e-hinā mere ba.ad
dar-ḳhur-e-arz nahīñ jauhar-e-bedād ko jānigah-e-nāz hai surme se ḳhafā mere ba.ad
hai junūñ ahl-e-junūñ ke liye āġhosh-e-vidā.achaak hotā hai garebāñ se judā mere ba.ad
kaun hotā hai harīf-e-mai-e-mard-afgan-e-ishqhai mukarrar lab-e-sāqī pe salā mere ba.ad
ġham se martā huuñ ki itnā nahīñ duniyā meñ koīki kare tāzīyat-e-mehr-o-vafā mere ba.ad
aa.e hai bekasī-e-ishq pe ronā 'ġhālib'kis ke ghar jā.egā sailāb-e-balā mere ba.ad
thī nigah merī nihāñ-ḳhāna-e-dil kī naqqābbe-ḳhatar jiite haiñ arbāb-e-riyā mere ba.ad
thā maiñ guldasta-e-ahbāb kī bandish kī giyāhmutafarriq hue mere rufaqā mere ba.ad