عشق مجھ کو نہیں وحشت ہی سہی
Ghazal · Mirza Ghalib · مرزا غالب · 10 sher · Roman Urdu ke saath
ishq mujh ko nahīñ vahshat hī sahīmerī vahshat tirī shohrat hī sahī
qat.a kiije na ta.alluq ham sekuchh nahīñ hai to adāvat hī sahī
mere hone meñ hai kyā rusvā.īai vo majlis nahīñ ḳhalvat hī sahī
ham bhī dushman to nahīñ haiñ apneġhair ko tujh se mohabbat hī sahī
apnī hastī hī se ho jo kuchh hoāgahī gar nahīñ ġhaflat hī sahī
umr har-chand ki hai barq-e-ḳhirāmdil ke ḳhuuñ karne kī fursat hī sahī
ham koī tark-e-vafā karte haiñna sahī ishq musībat hī sahī
kuchh to de ai falak-e-nā-insāfaah o fariyād kī ruḳhsat hī sahī
ham bhī taslīm kī ḳhū Dāleñgebe-niyāzī tirī aadat hī sahī
yaar se chheḌ chalī jaa.e 'asad'gar nahīñ vasl to hasrat hī sahī