رمزِ زندگیRamz E Zindagi

آگے بڑھے نہ قصۂ عشق بتاں سے ہم

Ghazal · Altaf Hussain Hali · الطاف حسین حالی · 5 sher · Roman Urdu ke saath

aage baḌhe na qissa-e-ishq-e-butāñ se hamsab kuchh kahā magar na khule rāzdāñ se ham
ab bhāgte haiñ sāya-e-ishq-e-butāñ se hamkuchh dil se haiñ Dare hue kuchh āsmāñ se ham
hañste haiñ us ke girya-e-be-iḳhtiyār parbhūle haiñ baat kah ke koī rāzdāñ se ham
ab shauq se bigaḌ ke hī bāteñ kiyā karokuchh pā ga.e haiñ aap ke tarz-e-bayāñ se ham
jannat meñ to nahīñ agar ye zaḳhm-e-teġh-e-ishqbadleñge tujh ko zindagī-e-jāvedāñ se ham