رمزِ زندگیRamz E Zindagi

ہے یہ تکیہ تری عطاؤں پر

Ghazal · Altaf Hussain Hali · الطاف حسین حالی · 9 sher · Roman Urdu ke saath

hai ye takiya tirī atāoñ parvahī isrār hai ḳhatāoñ par
raheñ nā-āshnā zamāne sehaq hai terā ye āshnāoñ par
rahravo bā-ḳhabar raho ki gumāñrahzanī kā hai rahnumāoñ par
hai vo der āshnā to aib hai kyāmarte haiñ ham inhīñ adāoñ par
us ke kūche meñ haiñ vo be-par o baaluḌte phirte haiñ jo havāoñ par
shahsavāroñ pe band hai jo raahvaqf hai yaañ barahna paañv par
nahīñ mun.im ko us kī buuñd nasībmeñh barastā hai jo gadāoñ par
nahīñ mahdūd baḳhshisheñ terīzāhidoñ par na pārsāoñ par
haq se darḳhvāst afv kī 'hālī'kiije kis muñh se in ḳhatāoñ par