رمزِ زندگیRamz E Zindagi

کر کے بیمار دی دوا تو نے

Ghazal · Altaf Hussain Hali · الطاف حسین حالی · 7 sher · Roman Urdu ke saath

kar ke bīmār dī davā tū nejaan se pahle dil liyā tū ne
rah-rav-e-tishna-lab na ghabrānāab liyā chashma-e-baqā tū ne
shaiḳh jab dil hī dair meñ na lagāaa ke masjid se kyā liyā tū ne
duur ho ai dil-e-ma.āl andeshkho diyā umr kā mazā tū ne
ek begāna vaar kar ke nigāhkyā kiyā chashm-e-āshnā tū ne
dil o diiñ kho ke aa.e the sū-e-dairyaañ bhī sab kuchh diyā ḳhudā tū ne
ḳhush hai ummīd-e-ḳhuld par 'hālī'koī pūchhe ki kyā kiyā tū ne