خوبیاں اپنے میں گو بے انتہا پاتے ہیں ہم
Ghazal · Altaf Hussain Hali · الطاف حسین حالی · 17 sher · Roman Urdu ke saath
ḳhūbiyāñ apne meñ go be-intihā paate haiñ hampar har ik ḳhūbī meñ daaġh ik aib kā paate haiñ ham
ḳhauf kā koī nishāñ zāhir nahīñ afa.āl meñgo ki dil meñ muttasil ḳhauf-e-ḳhudā paate haiñ ham
karte haiñ taa.at to kuchh ḳhvāhāñ numā.ish ke nahīñpar gunah chhup chhup ke karne meñ mazā paate haiñ ham
diida o dil ko ḳhayānat se nahīñ rakh sakte baazgarche dast-o-pā ko aksar be-ḳhatā paate haiñ ham
dil meñ dard-e-ishq ne muddat se kar rakkhā hai gharpar use ālūda-e-hirs-o-havā paate haiñ ham
ho ke nādim jurm se phir jurm karte haiñ vahījurm se go aap ko nādim sadā paate haiñ ham
haiñ fidā un dostoñ par jin meñ ho sidq o safāpar bahut kam aap meñ sidq o safā paate haiñ ham
go kisī ko aap se hone nahīñ dete ḳhafāik jahāñ se aap ko lekin ḳhafā paate haiñ ham
jānte apne sivā sab ko haiñ be-mehr o vafāapne meñ gar shamma-e-mehr-o-vafā paate haiñ ham
buḳhl se mansūb karte haiñ zamāne ko sadāgar kabhī taufīq-e-īsār o atā paate haiñ ham
ho agar maqsad meñ nākāmī to kar sakte haiñ sabrdard-e-ḳhud-kāmī ko lekin be-davā paate haiñ ham
Thaharte jaate haiñ jitne chashm-e-ālam meñ bhalehaal nafs-e-dūñ kā utnā hī burā paate haiñ ham
jis qadar jhuk jhuk ke milte haiñ buzurg o ḳhurd sekibr o naaz utnā hī apne meñ sivā paate haiñ ham
go bhalā.ī karke ham-jinsoñ se ḳhush hotā hai jītah-nashīñ us meñ magar durd-e-riyā paate haiñ ham
hai ridā-e-nek-nāmī dosh par apne magardaaġh rusvā.ī ke kuchh zer-e-ridā paate haiñ ham
raah ke tālib haiñ par be-rāh paḌte haiñ qadamdekhiye kyā DhūñDhte haiñ aur kyā paate haiñ ham
nuur ke ham ne gale dekhe haiñ ai 'hālī' magarrañg kuchh terī alāpoñ meñ nayā paate haiñ ham