رمزِ زندگیRamz E Zindagi

میں تو میں غیر کو مرنے سے اب انکار نہیں

Ghazal · Altaf Hussain Hali · الطاف حسین حالی · 7 sher · Roman Urdu ke saath

maiñ to maiñ ġhair ko marne se ab inkār nahīñik qayāmat hai tire haath meñ talvār nahīñ
kuchh patā manzil-e-maqsūd kā paayā ham nejab ye jaanā ki hameñ tāqat-e-raftār nahīñ
chashm-e-bad-dūr bahut phirte haiñ aġhyār ke saathġhairat-e-ishq se ab tak vo ḳhabar-dār nahīñ
ho chukā naaz uThāne meñ hai go kaam tamāmlillāhil-hamd ki bāham koī takrār nahīñ
muddatoñ rashk ne aġhyār se milne na diyādil ne āḳhir ye diyā hukm ki kuchh aar nahīñ
asl maqsūd kā har chiiz meñ miltā hai patāvarna ham aur kisī shai ke talabgār nahīñ
baat jo dil meñ chhupāte nahīñ bantī 'hālī'saḳht mushkil hai ki vo qābil-e-iz.hār nahīñ