رمزِ زندگیRamz E Zindagi

وصل کا اس کے دل زار تمنائی ہے

Ghazal · Altaf Hussain Hali · الطاف حسین حالی · 7 sher · Roman Urdu ke saath

vasl kā us ke dil-e-zār tamannā.ī haina mulāqāt hai jis se na shanāsā.ī hai
qat.a ummīd ne dil kar diye yaksū sad shukrshakl muddat meñ ye allāh ne dikhlā.ī hai
quvvat-e-dast-e-ḳhudā.ī hai shakebā.ī meñvaqt jab aa ke paḌā hai yahī kaam aa.ī hai
Dar nahīñ ġhair kā jo kuchh hai so apnā Dar haiham ne jab khaa.ī hai apne hī se zak khaa.ī hai
nashe meñ chuur na hoñ jhāñjh meñ maḳhmūr na hoñpand ye pīr-e-ḳharābāt ne farmā.ī hai
nazar aatī nahīñ ab dil meñ tamannā koībaad muddat ke tamannā mirī bar aa.ī hai
baat sachchī kahī aur uñgliyāñ uTThīñ sab kīsach meñ 'hālī' koī rusvā.ī sī rusvā.ī hai