رمزِ زندگیRamz E Zindagi

بات کچھ ہم سے بن نہ آئی آج

Ghazal · Altaf Hussain Hali · الطاف حسین حالی · 8 sher · Roman Urdu ke saath

baat kuchh ham se ban na aa.ī aajbol kar ham ne muñh kī khaa.ī aaj
chup par apnī bharam the kyā kyā kuchhbaat bigḌī banī banā.ī aaj
shikva karne kī ḳhū na thī apnīpar tabī.at hī kuchh bhar aa.ī aaj
bazm saaqī ne dī ulaT saarīḳhuub bhar bhar ke ḳhum luñDhā.ī aaj
ma.asiyat par hai der se yā rabnafs aur shara meñ laḌā.ī aaj
ġhālib aatā hai nafs-e-dūñ yā shar.adekhnī hai tirī ḳhudā.ī aaj
chor hai dil meñ kuchh na kuchh yaaroniind phir raat bhar na aa.ī aaj
zad se ulfat kī bach ke chalnā thāmuft 'hālī' ne choT khaa.ī aaj