رمزِ زندگیRamz E Zindagi

گھر ہے وحشت خیز اور بستی اجاڑ

Ghazal · Altaf Hussain Hali · الطاف حسین حالی · 9 sher · Roman Urdu ke saath

ghar hai vahshat-ḳhez aur bastī ujaaḌho ga.ī ek ik ghaḌī tujh bin pahāḌ
aaj tak qasr-e-amal hai nā-tamāmbañdh chukī hai bār-hā khul khul ke paaḌ
hai pahuñchnā apnā choTī tak muhālai talab niklā bahut ūñchā pahāḌ
khelnā aatā hai ham ko bhī shikārpar nahīñ zāhid koī TaTTī kī aaḌ
dil nahīñ raushan to haiñ kis kaam kesau shabistāñ meñ agar raushan haiñ jhaaḌ
iid aur nauroz hai sab dil ke saathdil nahīñ hāzir to duniyā hai ujaaḌ
khet raste par hai aur rah-rau savārkisht hai sarsabz aur nīchī hai baaḌ
baat vaa.iz kī koī pakḌī ga.īin dinoñ kam-tar hai kuchh ham par latāḌ
tum ne 'hālī' khol kar nāhaq zabāñkar liyā saarī ḳhudā.ī se bigāḌ