رمزِ زندگیRamz E Zindagi

فقر کے ہيں معجزات تاج و سرير و سپاہ

Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 7 sher · Roman Urdu ke saath

Faqr Ke Hain Muajazaat Taaj-o-Sareer-o-SipahFaqr Hai Meeron Ka Meer, Faqr Hai Shahon Ka Shah
Ilm Ka Maqsood Hai Paki-e-Aqal-o-KhiradFaqr Ka Maqsood Hai Iffat-e-Qalb-o-Nigah
Ilm Faqeer-o-Hakeem, Faqr Maseeh-o-KaleemIlm Hai Jooya’ay Rah, Faqr Hai Danye Rah
Faqr Maqam-e-Nazar, Ilm Maqam-e-KhabarFaqr Mein Masti Sawab, Ilm Mein Masti Gunah
Ilm Ka ‘Mojood’ Aur, Faqar Ka ‘Mojood’ AurASHADU ALLA ILAHA, ASHADU ALLA ILAHA !
Charhti Hai Jab Faqr Ki Saan Pe Taeg-e-KhudiAik Sipahi Ki Zarb Karti Hai Kaar-e-Sipah
Dil Agar Iss Khak Mein Zinda-o-Baidar HoTeri Nigah Torh De Aaeena-e-Mehar-o-Mah