جبريل وابليس
Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 10 sher · Roman Urdu ke saath
Har Ghari Aflak Par Rehti Hai Teri GuftuguKya Nahin Mumkin Ke Tera Chaak-e-Daman Ho Rafoo
Aah Ae Jibreel! Tu waqif Nahin Iss Raaz SeKar Gya Sarmast Mujh Ko Toot Kar Mera Saboo
Ab Yahan Meri Guzar Mumkin Nahin, Mumkin NahinKis Qadar Khamosh Hai Ye Alam-e-Be-Kaakh-o-Koo!
Jis Ki Naumeedi Se Ho Souz-e-Daroon-e-KainatUss Ke Haq Mein ‘Taqnatu’ Acha Hai Ya ‘La-Taqnatu’ ?
Kho Diye Inkaar Se Tu Ne Maqamat-e-BulandChashm-e-Yazdaan Mein Farishton Ki Rahi Kya Abroo!
Hai Meri Jurraat Se Musht-e-Khak Mein Zauq-e-NamooMere Fitne Jama-e-Aqal-o-Khirad Ka Taar-o-Poo
Dekhta Hai Tu Faqat Sahil Se Razm-e-Khair-o-SharKon Toofan Ke Tamanche Kha Raha Hai, Main Ke Tu?
Khizar Bhi Bedast-o-Pa, Ilyas Bhi Bedast-o-PaMere Toofan Tam-Ba-Yam, Darya-Ba-Darya, Joo-Ba-Joo
Gar Khalwat Mayassir Ho To Puch Allah SeQissa-e-Adam Ko Rangeen Kar Gya Kis Ka Lahoo!
Main Khatakta Hun Dil-e-Yazdan Mein Kante Ki TarahTu Faqat Allah Hoo, Allah Hoo, Allah Hoo !