جاويد کے نام
Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 5 sher · Roman Urdu ke saath
Diyar-e-Ishq Mein Apna Maqam Paida KarNaya Zamana, Naye Subah-o-Sham Paida Kar
Khuda Agar Dil-e-Fitrat Shanas De Tujh KoSakoot-e-Lala-o-Gul Se Kalaam Paida Kar
Utha Na Sheesha Garan-e-Farang Ke EhsanSifal-e-Hind Se Meena-o-Jaam Paida Kar
Main Shakh-e-Taak Hun, Meri Ghazal Hai Mera SamarMere Samar Se Mai-e-Lala Faam Paida Kar
Mera Tareeq Ameeri Nahin, Faqeeri HaiKhudi Na Baich, Ghareebi Mein Naam Paida Kar!