فلسفہ ومذہب
Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 5 sher · Roman Urdu ke saath
Ye Aftab Kya, Ye Sepehr-e-Bareen Hai Kya!Samjha Nahin Tasalsul-e-Sham-o-Sehar Ko Main
Apne Watan Mein Hun Ke Ghareeb-Ud-Diyar HunDarta Hun Dekh Dekh Ke Iss Dast-o-Dar Ko Main
Khulta Nahin Mere Safar-e-Zindagi Ka RaazLaun Kahan Se Banda-e-Sahib Nazar Ko Main
Heeran Hai Bu Ali Ke Main Aya Kahan Se HunRumi Ye Sochta Hai Ke Jaun Kidhar Ko Main
“Jata Hun Thori Door Har Ek Rahroo Ke SathPehchanta Nahin Hun Abhi Rahbar Ko Main”