عالم برزخ
Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 17 sher · Roman Urdu ke saath
Kya Shay Hai, Kis Amroz Ka Farda Hai QayamatAe Mere Shabistan-E-Kuhan ! Kya Hai Qayamat?
Ae Murda’ay Sad Sala ! Tujhe Kya Nahin Maloom?Har Mout Ka Poshida Taqaza Hai Qayamat !
Jis Mout Ka Poshida Taqaza Hai QayamatUss Mout Ke Phande Mein Giraftar Nahin Main
Har Chand Ke Hun Murda’ay Sad Sala WalekinZulmat Kudda’ay Khak Se Bezaar Nahin Main
Ho Rooh Phir Ek Bar Sawar-e-Badan-e-ZaarAesi Hai Qayamat To Kharidar Nahin Main
Ne Naseeb-e-Maar Wa Kuzdum, Ne Naseeb-e-Dawam Wa DadHai Faqat Mehkoom Qoumon Ke Liye Marg-e-Abad
Bang-e-Israfeel Un Ko Zinda Kar Sakti NahinRooh Se Tha Zindagi Mein Bhi Tehi Jin Ka Jasad
Mar Ke Ji Uthna Faqat Azad Mardon Ka Hai KaamGarcha Har Zee Rooh Ki Manzil Hai Aagosh-E-Lehad
Ah Zalim! Tu Jahan Mein Banda’ay Mehkoom ThaMain Na Samjhi Thi Ke Hai Kyun Khak Meri Souz Naak
Teri Mayyat Se Meri Tareekiyan Tareek TarTeri Mayyat Se Zameen Ka Parda’ay Namoos Chaak
Alhazar, Mehkoom Ki Mayyat Se Sou Bar AlhazarAe Sarafeel ! Ae Khuda’ay Kainat ! Ae Jaan-E-Pak
Garcha Barham Hai Qayamat Se Nizam-E-Hast-O-BoodHain Issi Aashob Se Beparda Asrar-E-Wajood
Zalzale Se Koh-O-Dar Urtte Hain Manind-E-SihabZalzale Se Wadiyon Mein Taza Chashmon Ki Namood
Har Nayi Tameer Ko Lazim Hai Takhreeb-E-TamamHai Issi Mein Mushkilat-E-Zindagani Ki Kushood
Ah Ye Marg-E-Dawam, Ah Ye Razm-E-HayatKhatam Bhi Ho Gi Kabhi Kashmakash-E-Kainat !
Aqal Ko Milti Nahin Apne Button Se NijaatArif-O-Aami Tamam Band’ay Laat-O-Manaat
Khuwaar Huwa Kis Qadar Adam-E-Yazdaan SifaatQalb-O-Nazar Par Garan Aese Jahan Ka Sibaat