رمزِ زندگیRamz E Zindagi

گرم ہو جاتا ہے جب محکوم قوموں کا لہو

Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 4 sher · Roman Urdu ke saath

Garam Ho Jata Hai Jab Mehkoom Qoumon Ka LahooThartharata Hai Jahan-E-Chaar Suay-O-Rang-O-Boo
Pak Hota Hai Zan-O-Takhmeen Se Insan Ka ZameerKarta Hai Har Rah Ko Roshan Charagh-E-Arzoo
Vo Purane Chaak Jin Ko Aqal Si Sakti NahinIshq Sita Hai Unhain Be-Sozan-O-Taar-E-Rafoo
Zarbat-E-Peham Se Ho Jata Hai Akhir Pash PashHakmiat Ka But-E-Sangeen Dil-O-Aaeena Roo