رمزِ زندگیRamz E Zindagi

نشاں يہي ہے زمانے ميں زندہ قوموں کا

Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 6 sher · Roman Urdu ke saath

Nishan Yehi Hai Zamane Mein Zinda Qoumon KaKe Subha-O-Sham Badalti Hain In Ki Taqdeerain
Kamal-E-Sidq-O-Marawwat Hai Zindagi In KiMaaf Karti Hai Fitrat Bhi In Ki Taqseerain
Qalanderana Ada’en, Sikandarana JalalYe Ummatain Hain Jahan Mein Barhana Shamsheerain
Khudi Se Mard-E-Khud Agah Ka Jamal-O-JalalK Ye Kitab Hai, Baqi Tamam Tafseerain
Shikwa-E-Eid Ka Munkir Nahin Hun Mein, LekinQabool-E-Haq Hain Faqat Mard-E-Hur Ki Takbeerain
Hakeem Meri Nawa’on Ka Raaz Kya JaneWara’ay Aqal Hain Ahl-E-Junoon Ki Tadbeerain