مرزا غالب
Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 15 sher · Roman Urdu ke saath
Fikar-e- Insan Per Teri Hasti Se Ye Roshan HuwaHai Per-e-Muragh-e-Takhayul Ki Rasayi Ta Kuja
Tha Sarapa Rooh Tu, Bazm-e- Sukhan Pekar TeraZaib-E-Mehfil Bhi Raha, Mehfil Se Pinhan Bhi Raha
Deed Teri Aankh Ko Uss Husn Ki Manzoor HaiBan Ke Souz e-Zindagi Her Shay Mein Jo Mastoor Hai
Mehfil-e-Hasti Teri Barbat Se Hai SarmayadarJis Tarah Naddi Ke Naghmon Se Sakoot-E-Kohsar
Tere Ferdous-e-Takhayul Se Hai Qudrat Ki BaharTeri Kisht-e-Fikar Se Ugte Hain Aalam Sabza War
Zindagi Muzmer Hai Teri Shaukhi-e-Tehreer MeinTab-E-Goyai Se Junbish Hai Lab-e-Tasveer Mein
Nutaq Ko So Naz Hain Tere Lab-e-Ejaz PerMehv-e-Hairat Hai Surayya Rifat-e- Parwaz Per
Shahid-e-Mazmoon Tassaduq Hai Tere Andaz PerKhandazan Hai Guncha-e-Dilli Gul-e-Shiraz Per
Aah! Tu Ujhari Huwi Dilli Mein Aaramida HaiGulshan-e-Weimar* Mein Tera Humnawa Khawabida Hai
Lutaf-e-Goyai Mein Teri Humsari Mumkin NahinHo Takhayyul Ka Na Jab Tak Fikar-e-Kamil Hum Nasheen
Haye! Ab Kya Ho Gyi Hindustan Ki Ser ZameenAh! Ae Nazara Aamoz-e-Nigah-e-Nukta Been
Gaisuay Urdu Abhi Mannat Pazeer-e-Shana HaiShama Ye Sodai-e-Dilsozi-e-Perwana Hai
Ae Jahan Abad! Ae Gehwara-e-Ilam-o-HunarHain Sarapa Nala-e-Khamosh Tere Baam-o-Der
Zarre Zarre Mein Tere Khabidah Hein Shamas-o-QamarYun To Poshida Hain Teri Khak Mein Lakhon Gohar
Dafan Tujh Mein Koi Fakhar-e-Rozgar Aesa Bhi Hai?Tujh Mein Pinhan Koi Moti Aab Dar Aesa Bhi Hai?