ايک مکڑا اور مکھي
Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 24 sher · Roman Urdu ke saath
Ek Din Kisi Makhi Se Ye Kehne Laga MakraIss Rah Se Hota Hai Guzar Roz Tumhara
Lekin Meri Kutiya Ki Na Jagi Kabhi KismatBhoole Se Kabhi Tum Ne Yahan Paun Na Rakha
Ghairon Se Na Miliye To Koi Baat Nahin HaiApno Se Magar Chahiye Yun Khinch Ke Na Rehna
Aao Jo Mere Ghar Mein To Izzat Hai Ye MeriWoh Samne Seerhi Hai Jo Manzoor Ho Ana
Makhi Ne Suni Baat Jo Makre Ki To BoliHazrat! Kisi Nadan Ko Dijiye Ga Ye Dhoka
Iss Jaal Mein Makhi Kabhi Aane Ki Nahin HaiJo Aap Ki Seerhi Pe Charha, Phir Nahin Utra
Makre Ne Kaha Wah! Farebi Mujhay SamjheTum Sa Koi Nadan Zamane Mein Na Ho Ga
Manzoor Tumhari Mujhe Khatir Thi WagarnaKuch Faida Apna To Mera Iss Mein Nahin Tha
Urti Huwi Ayi Ho Khuda Jane Kahan SeThehro Jo Mere Ghar Mein To Hai Iss Mein Bura Kya!
Iss Ghar Mein Khai Tum Ko Dikhane Ki Hain CheezainBahir Se Nazar Ata Hai Chotti Si Ye Kutiya
Latke Huay Darwazon Pe Bareek Hain PardeDiwaron Ko Aaeyno Se Hai Mein Ne Sajaya
Mehmanon Ke Aaram Ko Hazir Hain BichoneHer Shaks Ko Saman Ye Mayaser Nahin Hota
Makhi Ne Kaha Khair, Ye Sub Theek Hai LekinMein Aap Ke Ghar Aaun, Ye Umeed Na Rakhna
In Naram Bichonon Se Khuda Mujh Ko BachayeSo Jaye Koi In Pe To Phir Uth Nahin Sakta
Makre Ne Kaha Dil Mein, Suni Baat Jo Uss KiPhansun Issay Kis Tarha Ye Kambakhat Hai Dana
So Kaam Khushamad Se Nikalte Hain Jahan MeinDekho Jise Duniya Mein Khushamad Ka Hai Banda
Ye Soch Ke Makhi Se Kaha Uss Ne Bari Bee !Allah Ne Bakhsha Hai Bara Aap Ko Rutba
Hoti Hai Ussay Aap Ki Soorat Se MohhabatHo Jis Ne Kabi Aik Nazar Aap Ko Dekha
Aankhain Hain Ke Heeray Ki Chamakti Huwi KaniyanSer Aap Ka Allah Ne Kalgi Se Sajaya
Ye Husn, Ye Poshak, Ye Khubi, Ye SafaiPhir Iss Pe Qayamat Hai Ye Urte Huay Gana
Makhi Ne Suni Jab Ye Khushamad To PasijiBoli Ke Nahin Aap Se Mujh Ko Koi Khatka
Inkar Ki Aadat Ko Samajhti Hun Bura MeinSach Ye Hai Ke Dil Torna Acha Nahin Hota
Ye Baat Kahi Aur Uri Apni Jagha SePaas Ayi To Makre Ne Uchal Ker Ussay Pakra
Bhooka Tha Kai Roz Se, Ab Hath Jo AyeAaram Se Ghar Baith Ke Makhi Ko Uraya