ايک پہا ڑ اور گلہري
Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 12 sher · Roman Urdu ke saath
Koi Pahar Ye Kehta Tha Ek Gulehri SeTujhe Ho Sharam To Pani Mein Ja Ke Doob Maray
Zara Si Cheez Hai, Iss Pe Garoor, Kya KehnaYe Aqal Aur Ye Samajh, Ye Shaur, Kya Kehna!
Khuda Ki Shan Hai Na-Cheez, Cheez Ban BaithenJo Be-Shaur Hon, Yun Ba-Tameez Ban Baithen
Teri Bisat Hai Kya Meri Shan Ke AagayZameen Hai Passt Meri Aan Baan Ke Aagay
Jo Baat Mujh Mein Hai, Tujh Ko Vo Naseeb KahanBhala Pahar Kahan, Janwar Gareeb Kahan!
Kaha Ye Sun Ke Gulehri Ne, Munh Sambhal ZaraYe Kachi Baatain Hain Dil Se Inhain Nikal Zara
Jo Mein Bari Nahin Teri Tarah To Kya ParwaNahin Hai Tu Bhi To Aakhir Meri Tarah Chotta
Her Aik Cheez Se Paida Khuda Ki Qudrat HaiKoi Bara, Koi Chotta, Ye Uss Ki Hikmat Hai
Bara Jahan Mein Tujh Ko Bana Diya Uss NeMujhe Darakht Pe Charhna Sikha Diya Uss Ne
Qadam Uthane Ki Takat Nahin Zara Tujh MeinNiri Barai Hai, Khubi Hai Aur Kya Tujh Mein
Jo Tu Bara Hai To Mujh Sa Hunar Dikha Mujh KoYe Chaliya Hi Zara Tor Ker Dikha Mujh Ko
Nahin Hai Cheez Nakami Koi Zamane MeinKoi Bura Nahin Qudrat Ke Karkhane Mein