ماں کا خواب
Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 15 sher · Roman Urdu ke saath
Mein Soyi Jo Ek Shab To Dekha Ye KhawabBarha Aur Jis Se Mera Iztarab
Ye Dekha Ke Mein Ja Rahi Hun KahinAndhera Hai Aur Rah Milti Nahin
Larazta Tha Der Se Mera Baal BaalQadam Ka Tha Dehshat Se Uthna Mahal
Jo Kuch Hosla Pa Ke Aagay BerhiTo Dekha Qitar Aik Larkon Ki Thi
Zumurad Si Poshak Pehne HuayDiye Sub Ke Hathon Mein Jalte Huay
Woh Chup Chap Thay Agay Peche RawanKhuda Jane Jana Tha Un Ko Kahan
Iss Soch Mein Thi Ke Mera PisarMujhe Uss Jamat Mein Aya Nazar
Woh Peche Tha Aur Taez Chalta Na ThaDiya Uss Ke Hathon Mein Jalta Na Tha
Kaha Mein Ne Pehchan Ker, Meri Jaan!Mujhe Chor Ker Aa Gye Tum Kahan?
Judai Mein Rehti Hun Main Be-QararParoti Hun Her Rouz Ashkon Ke Haar
Na Perwa Humari Zara Tum Ne KiGye Chor, Achi Wafa Tum Ne Ki!
Jo Bache Ne Dekha Mera Peach O TaabDiya Uss Ne Munh Phair Ker Yun Jawab
Rulati Hai Tujh Ko Juddai MeriNahin Uss Mein Kuch Bhi Bhalai Meri
Ye Keh Ker Vo Kuch Dair Tak Chup RahaDiya Phir Dikha Ker Ye Kehne Laga
Samajhti Hai Tu Ho Gaya Kya Issay?Tere Aanasuon Ne Bhujaya Issay!