رمزِ زندگیRamz E Zindagi

خفتگان خاک سے استفسار

Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 26 sher · Roman Urdu ke saath

Mehr-e-Roshan Chup Gya, Uthi Niqab-e-Ruye ShamShan-e-Hasti Pe Hai Bikhra Huwa Gaisuay Sham
Ye Seyh Poshi Ki Tayari Kisi Ke Gham Mein HaiMehfil-e-Qudrat Magar Khurshid Ke Matam Mein Hai
Ker Raha Hai Aasman Jadoo Lab-e-Guftar PerSahar-e-Shab Ki Nazar Hai Didah-e-Beedar Per
Ghota Zan Daryae Khamoshi Mein Hai Mouj-e-HawaHaan, Magar Ek Door Se Ati Hai Awaz E Dra
Dil Ke Hai Betabi-e-Ulfat Mein Duniya Se NafoorKhanch Laya Hai Mujhe Hangama E Aalam Se Door
Manzar-e-Herman Naseebi Ka Tamashayi Hun MainHum Nasheen-e-Khuftagan-e-Kunj Tanhai Hun Main
Ae Mye Ghaflat Ke Sermasto! Kahan Rehte Ho Tum?Kuch Kaho Uss Dais Ki Aakhir, Jahan Rehte Ho Tum
Admi Wan Bhi Hisar-e-Gham Mein Hai Mehsoor Kya?Uss Walayat Mein Bhi Hai Insan Ka Dil Majboor Kya?
Wan Bhi Jal Merta Hai Soz-e-Shama Per Parwana Kya?Uss Chaman Mein Bhi Gull-o-Bulbul Ka Hai Afsana Kya?
Yan To Ek Misre Mein Pehlu Se Nikal Jata Hai DilShair Ki Germi Se Kya Wan Bi Phigalta Jata Hai Dil?
Iss Jahan Mein Ek Maeeshat Aur So Uftad HaiRooh Kya Uss Daes Mein Iss Fikar Se Azad Hai?
Tinke Chunte Hain Wahan Bhi Aashiyan Ke Wastay?Khishat-e-Gill Ki Fikar Hoti Hai Makan Ke Wastay?
Wan Bhi Kya Faryad-e-Bulbul Per Chaman Rota Nahin?Iss Jahan Ki Tarah Wan Bhi Dard-e-Dil Hota Nahin?
Bagh Hai Fardous Ya Ek Manzal-e-Aramhai?Ya Rukh E Be Perwa Husn-e-Azal Ka Naam Hai?
Kya Jahanum Maseeyat Sozi Ki Ek Tarkeeb Hai?Aag Ke Sholon Mein Pinhan Maqsad-e-Tadeeb Hai?
Kya Ewz Raftar Ke Uss Dais Mein Parwaz Hai?Mout Kehte Hain Jise Ahle Zameen, Kya Raaz Hai?
Iztarab-e-Dil Ka Saman Yan Ki Hast-o-Bood HaiIlm E Insan Uss Walayat Mein Bhi Kya Mehdood Hai?
Deed Se Taskeen Pata Hai Dil-e-Mahjoor Bhi?'Lan Tarani' Keh Rahe Hain Ya Wahan Ke Toor Bhi?
Justujoo Mein Hai Wahan Bhi Rooh Ko Aaram Kya?Wan Bhi Insan Hai Qateel-e-Zauq-e-Istafham Kya?
Aah! Vo Kishwar Bhi Tareeki Se Kya Mamoor Hai?Ya Mohabbat Ki Tajalli Se Sarapa Noor Hai?
Tum Bata Do, Raaz Jo Iss Gunbad-e-Gardan Mein HaiMout Ek Chubhta Huwa Kanta Dil-e-Insan Mein Hai