Parwana Tujh Se Karta Hai Ae Shama! Pyar KyunYe Jaan-e-Be-Qarar Hai Tujh Par Nisar Kyun
Seemabwaar Rakhti Hai Teri Ada IsseAdab-e-Ishq Tu Ne Sikhaye Hain Kya Isse?
Karta Hai Ye Tawaf-e-Teri Jalwagah KaPhoonka Huwa Hai Kya Teri Barq-e-Nigah Ka?
Azaar-e-Mout Mein Isse Aram-e-Jaan Hai Kya?Shaole Mein Tere Zindagi-e-Javidan Hai Kya?
Ghumkhana-e-Jahan Mein Jo Teri Zia Na HoIss Tafta Dil Ka Nakhle-e-Tamana Hara Na Ho
Girna Tere Huzoor Mein Iss Ki Namaz HaiNanhe Se Dil Mein Lazzat-e-Souz-o-Gudaz Hai
Kuch Iss Mein Josh-e-Ashiq-e-Husn-e-Qadeem HaiChota Sa Toor Tu, Ye Zara Sa Kaleem Hai
Parwana, Aur Zauq-e-Tamashaye RoshniKeera Zara Sa, Aur Tamanaye Roshni!