رمزِ زندگیRamz E Zindagi

عقل و دل

Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 13 sher · Roman Urdu ke saath

Aqal Ne Aik Din Ye Dil Se KahaBhoole Bhatke Ki Rahnuma Hun Main
Hun Zameen Par, Guzr Falak Pe MeraDekh To Kis Qadar Rasa Hun Main
Kaam Dunya Mein Rahbari Hai MeraMisl-e-Khizr-e-Khajasta Pa Hun Main
Hun Mufassir-e-Kitab-e-Hasti KiMazhar-e-Shan-e-Kibriya Hun Main
Boond Ek Khoon Ki Hai Tu LekinGhairat-e-Laal-e-Be Baha Hun Main
Dil Ne Sun Kar Kaha Ye Sub Sach HaiPar Mujhe Bhi To Dekh, Kya Hun Main
Ilm Tujh Se To Maarifat Mujh SeTu Khuda Joo, Khuda Numa Hun Main
Ilm Ki Intiha Hai BetaabiIss Marz Ki Magar Dawa Hun Main
Shama Tu Mehfil-e-Sadaqat KiHusn Ki Bazm Ka Diya Hun Main
Tu Zaman-o-Makan Se Rishta BapaTaeer-e-Sidra Se Ashna Hun Main
Kis Bulandi Pe Hai Maqam MeraArsh Rab-e-Jaleel Ka Hun Main!