آفتاب
Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 10 sher · Roman Urdu ke saath
Ae Aftab! Rooh-o-Rawan-e-Jahan Hai TuShiraza Band-e-Daftar-e-Kaun-o-Makan Hai Tu
Baees Hai Tu Wujood-o-Adam Ki Namood KaHai Sabz Tere Dam Se Chaman Hast-o-Bood Ka
Qaeem Ye Unsaron Ka Tamasha Tujhi Se HaiHar Shay Mein Zindagi Ka Taqaza Tujhi Se Hai
Har Shay Ko Teri Jalwagari Se Sabat HaiTera Ye Souz-o-Saaz Sarapa Hayat Hai
Woh Aftab Jis Se Zamane Mein Noor HaiDil Hai, Khird Hai, Rooh-e-Rawan Hai, Shaur Hai
Ae Aftab! Hum Ko Zia-e-Shaur DeChashm-e-Khird Ko Apni Tajalli Se Noor De
Hai Mehfil-e-Wujood Ka Saman Taraz TuYazdan-e-Sakinan-e-Nashaib-o-Faraz Tu
Tera Kamal Hasti-e-Har Jandar MeinTeri Namood Silsila-e-Kohsar Mein
Har Cheez Ki Hayat Ka Parwardigar TuZaeedgan-e-Noor Ka Hai Tajdar Tu
Ne Ibtida Koi Na Koi Intiha TeriAzad-e-Qaid-e-Awwal-o-Akhir Zia Teri