رمزِ زندگیRamz E Zindagi

درد عشق

Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 13 sher · Roman Urdu ke saath

Ae Dard-e-Ishq! Hai Guhr-e-Abdar TuNa-Mehramon Mein Dekh Na Ho Ashkara Tu!
Pinhan Teh-e-Niqab Teri Jalwagah HaiZahir Parast Mehfil-e-Nau Ki Nigah Hai
Ayi Nayi Hawa Chaman-e-Hast-o-Bood MeinAe Dard-e-Ishq! Ab Nahin Lazzat Namood Mein
Haan, Khud Numaeeyon Ki Tujhe Justujoo Na HoMinnat Pazeer Nala-e-Bulbul Ka Tu Na Ho!
Khali Sharab-e-Ishq Se Lale Ka Jam HoPani Ki Boond Girya-e-Shabnam Ka Naam Ho
Pinhan Duroon-e-Sina Kahin Raaz Ho TeraAshak-e-Jigar Gudaz Na Ghammaz Ho Tera
Goya Zuban-e-Shayar-e-Rangeen Byan Na HoAwaz-e-Ne Mein Shikwa-e-Fursat Nihan Na Ho
Ye Dour Nukta Cheen Hai, Kahin Chup Ke Baith RehJis Dil Mein Tu Makeen Hai, Wahin Chup Ke Bath Reh
Ghafil Hai Tujh Se Hairat-e-Ilm Afrida Dekh!Joya Nahin Teri Nigah-e-Na Raseeda Dekh
Rehne De Justujoo Mein Khiyal-e-Buland KoHairat Mein Chor Deedah-e-Hikmat Pasand Ko
Jis Ki Bahar Tu Ho Ye Aesa Chaman NahinQabil Teri Namood Ke Ye Anjuman Nahin
Ye Anjuman Hai Kushta-e-Nazara-e-MajazMaqsad Teri Nigah Ka Khalwat Saraye Raaz
Har Dil Mai-e-Khiyal Ki Masti Se Choor HaiKuch Aur Aaj Kal Ke Kaleemon Ka Toor Hai