سيدکي لوح تربت
Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 14 sher · Roman Urdu ke saath
Ae Ke Tera Murgh-e-Jaan Taar-e-Nafas Mein Hai AseerAe Ke Teri Rooh Rooh Ka Taeer Qafas Mein Hai Aseer
Iss Chaman Ke Naghma Pairaon Ki Azadi To DekhSheher Jo Ujra Huwa Tha, Uss Ki Abadi To Dekh
Fikr Rehti Thi Mujhe Jis Ki Woh Mehfil Hai YehiSabr-o-Istaqlaal Ki Khaiti Ka Hasil Hai Yehi
Sang-e-Turbat Hai Mera Gerwida-e-Taqreer DekhChashm-e-Batin Se Zara Iss Loh Ki Tehreer Dekh
Mudda Tera Agar Dunya Mein Hai Taleem-e-DenTurk-e-Dunya Qoum Ko Apni Na Sikhlana Kahin
Wa Na Karna Firqa Bandi Ke Liye Apni ZubanChup Ke Hai Baitha Huwa Hangama-e-Mehshar Yahan
Wasl Ke Asbab Paida Hon Teri Tehreer SeDekh! Koi Dil Na Dukh Jaye Teri Taqreer Se
Mehfil-e-Nau Mein Purani Dastanon Ko Na ChhairRang Par Jawab Na Ayen Un Afsanon Ko Na Chhair
Tu Agar Koi Mudabbar Hai To Sun Meri SadaHai Dalairi Dast-e-Arbab-e-Siasat Ka Asa
Arz-e-Matlab Se Jhijhak Jana Nahin Zaiba TujheNaik Hai Niyyat Agar Teri To Kya Parwa Tujhe
Banda-e-Momin Ka Dil Beem-o-Riya Se Paak HaiQuwwat-e-Farman-Rawa Ke Samne Bebaak Hai
Ho Agar Hathon Mein Tere Khana-e-Maujiz RaqamSheesha-e-Dil Ho Agar Tera Misal-e-Jaam-o-Jam
Paak Rakh Apni Zuban, Talmeez-e-Rehmani Hai TuHo Na Jaye Dekhna Teri Sada Be-Abru!
Sone Walon Ko Jaga De Shair Ke Ejaz SeKhirman-e-Batil Jala De Shaola-e-Awaz Se