رمزِ زندگیRamz E Zindagi

انسان اور بزم قد رت

Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 20 sher · Roman Urdu ke saath

Subah Khursheed-e-Durakhsan Ko Jo Dekha Main NeBazm-e-Maamoora-e-Hasti Se Ye Pucha Main Ne
Par Tu-e-Mehr Ke Dam Se Hai Ujala TeraSeem-e-Sayyal Hai Pani Tere Daryaon Ka
Mehr Ne Noor Ka Ziawar Tujhe Pehnaya HaiTeri Mehfil Ko Issi Shama Ne Chamkaya Hai
Gul-o-Gulzar Tere Khuld Ki Tasveerain HainYe Sabhi Surah-e-‘Wa Shamas’ Ki Tafseerain Hain
Hai Tere Khaima-e-Gardoon Ki Talayi JhalarBadliyan Laal Si Ati Hain Ufaq Par Jo Nazar
Kya Bhali Lagti Hai Ankhon Ki Shafaq Ki LaaliMai-e-Gulrang Khum-e-Shaam Mein Tu Ne Dali
Rutba Tera Hai Bara, Shan Bari Hai TeriParda-e-Noor Mein Mastoor Hai Har Shay Teri
Subah Ek Geet Sarapa Hai Teri Sitwat KaZair-e-Khursheed Nishan Tak Bhi Nahin Zulmat Ka
Main Bhi Abad Hun Iss Noor Ki Basti Mein MagarJal Gya Phir Meri Taqdeer Ka Akhtar Khunkar?
Noor Se Door Hun Zulmat Mein Griftar Hun MainKyun Siyah-e-Roz, Sayah Bakht, Siyah Kar Hun Main?
Hai Tere Noor Se Wabasta Meri Bood-o-NaboodBaghban Hai Teri Hasti Bay-e-Gulzar-e-Wujood
Anjuman Husn Ki Hai Tu, Teri Tasveer Hun MainIshq Ka Tu Hai Sahifa, Teri Tafseer Hun Main
Noor-e-Khursheed Ki Mohtaj Hai Hasti MeriAur Be Minnat-e-Khursheed Chamak Hai Teri
Ho Na Khursheed To Weeran Ho Gulistan MeraManzil-e-Aysh Ki Ja Naam Ho Zindan Mera
Ah! Ae Raaz-e-Ayan Ke Na Samajh Wale!Halqa-e-Daam-e-Tammana Mein Ulajh Wale
Haye Ghafla Ke Teri Ankh Hai Paband-e-MajazNaaz Zaiba Tha Tujhe, Tu Hai Magar Garm-e-Niaz
Tu Agar Apni Haqiqat Se Khabardar RaheNa Siyah Roz Rahe Phir Na Siyahkaar Rahe