Ujala Jab Huwa Rukhsat Jabeen-e-Shab Ki Afshan KaNaseem-e-Zindagi Pegham Layi Subah-e-Khandan Ka
Jagaya Bulbul-e-Rangeen Nawa Ko Ashiyane MeinKinare Khait Ke Shana Hilaya Uss Ne Dehqan Ka
Tilism-e-Zulmat-e-Shab Surah Wan-Noor Se ToraAndhere Mein Uraya Taj-e-Zar Shama-e-Shabistan Ka
Parha Khawabidgan-e-Dair Par Afsoon-e-BaidariBarhman Ko Diya Pegham Khursheed-e-Durakhshan Ka
Huwi Baam-e-Haram Par Aa Key Un Goya Moazzan SeNahin Khatka Tere Dil Mein Namood-e-Mehr-e-Taban Ka?
Pukari Iss Tarah Deewar-e-Gulshan Par Khare Ho KarChatak O Ghuncha-e-Gul! Tu Moazzan Hai Gulistan Ka
Diya Ye Hukm Sehra Mein Chalo Ae Qafile Walo!Chamakne Ko Hai Juggnu Ban Ke Har Zarra Byaban Ka
Sooye Gor-e-Ghareeban Jab Gyi Zindon Ki Basti SeTo Yun Boli Nazara Dekh Kar Sheher-e-Khamoshan Ka
Abhi Aram Se Laite Raho, Main Phir Bhi Aun GiSula Dun Gi Jahan Ko, Khawab Se Tum Ko Jagaun Gi