رخصت اے بزم جہاں
Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 21 sher · Roman Urdu ke saath
Rukhsat Ae Bazm-e-Jahan! Sooye Watan Jata Hun MainAh! Iss Abad Weerane Mein Ghabrata Hun Main
Bas Ke Main Afsurda Dil Hun, Dar Khor-e-Mehfil Mehfil NahinTu Mere Qabil Nahin Hai, Main Tere Qabil Nahin
Qaid Hai Darbar-e-Sultan-o-Shabistan-e-WazirTor Kar Nikle Ga Zanjeer-e-Talai Ka Aseer
Go Bari Lazzat Teri Hangama Arayi Mein HaiAjnabiat Si Magar Teri Shanasai Mein Hai
Muddaton Tere Khud Araon Se Hum-Sohbat RahaMuddaton Betaab Mouj-e-Behr Ki Soorat Raha
Muddaton Baitha Tere Hangama-e-Ishrat Mein MainRoshani Ki Justujoo Karta Raha Zulmat Mein Main
Muddaton Dhoonda Kiya Nazara-Egul, Khar MeinAh, Woh Yousaf Na Hath Aya Tere Bazaar Mein
Chashm-e-Heeran Dhoondti Ab Aur Nazare Ko HaiArzu Sahil Ki Mujh Toofan Ke Mare Ko Hai
Chor Kar Manind-e-Bu Tera Chaman Jata Hun MainRukhsat Ae Bazm-e-Jahan! Sooye Watan Jata Hun Main
Ghar Banaya Hai Sukoot-e-Daman-e-Kuhsar MeinAh! Ye Lazzat Kahan Mausiqi-e-Guftar Mein
Hum-Nasheen-e-Nargis-e-Shehla, Rafeeq-e-Gul Hun MainHai Chaman Mera Watan, Humsaya-e-Bulbul Hun Main
Sham Ko Awaz Chashmon Ki Sulati Hai MujheSubah Farsh-e-Sabz Se Ko'el Jagati Hai Mujhe
Bazm-e-Hasti Mein Hai Sub Ko Mehfil Arayi PasandHai Dil-e-Shayar Ko Lekin Kunj Tanhai Pasand
Hai Junoon Mujh Ko Ke Ghabrata Hun Abadi Mein MainDhoondta Phirta Hun Kis Ko Koh Ki Wadi Mein Main?
Shauq Kis Ka Sabza Zaron Mein Phirata Hai MujheAur Chashmon Ke Kinaron Par Sulata Hai Mujhe?
Tanaa Zan Hai Tu Ke Saida Kunj Uzlat Ka Hun MainDekh Ae Ghafil! Pyami Bazm-e-Qudrat Ka Hun Main
Hum Watan Shamshad Ka, Qumri Ka Main Humraaz HunIss Chaman Ki Khamashi Mein Gosh Bar-Awaz Hun
Kuch Jo Sunta Hun To Auron Ko Sunane Ke LiyeDekhta Hun Kuch To Auron Ko Dikhane Ke Liye
Ashiq-e-Uzlat Hai Dil, Nazan Hun Apne Ghar Pe MainKhanda-Zan Hun Masnad-e-Dara-o-Iskandar Pe Main
Laitna Zaire-Shajar Rakhta Hai Jadoo Ka AsarShaam Ke Tare Pe Jab Parti Ho Reh Reh Kar Nazar
Ilm Ke Hairat-Kade Mein Hai Kahan Iss Ki Namood!Gul Ki Patti Mein Nazar Ata Hai Raaz-e-Hast-o-Bood