Ja Basa Maghrib Mein Akhir Ae Makan Tera MakeenAh! Mashriq Ki Pasand Ayi Na Iss Ko Sarzameen
Aa Gya Aaj Iss Sadaqat Ka Mere Dil Ko YaqeenZulmat-e-Shab Se Zaya-e-Rouz-e-Furqat Kam Nahin
“Taaz Aghosh-e-Wadaash Dagh-e-Hairat Cheeda AstHumcho Shama-e-Kusta Dar Chasmam Nigah Khawabida Ast”
Kushta-e-Uzlat Hun, Abadi Mein Ghabrata Hun MainShehar Se Souda Ki Shiddat Mein Nikal Jata Hun Main
Yaad-e-Ayyam-e-Salaf Se Dil Ko Tarapta Hun MainBehr-e-Taskeen Teri Janib Dorta Ata Hun Main
Ankh Go Manoos Hai Tere Dar-o-Diwar SeAjnabiat Hai Magar Paida Meri Raftar Se
Zarra Mere Dil Ka Khursheed Ashna Hone Ko ThaAaeena Toota Huwa Alamnuma Hone Ko Tha
Nakhal Meri Arzuon Ka Hara Hone Ko ThaAh! Kya Jane Koi Main Kya Se Kya Hone Ko Tha
Abar-e-Rehmat Daman Az Gulzar-e-Mann Barcheeda-o-RaftAnd Ke Bar Ghuncha Haye Arzu Bareed-o-Raft
Tu Kahan Hai Ae Kaleem-e-Zarwa-e-Seenaye IlmThi Teri Mouj-e-Nafas Baad-e-Nishat Afzaye Ilm
Ab Kahan Woh Shauq-e-Reh Pemayi-e-Sehraye IlmTere Dam Se Tha Humare Sar Mein Bhi Soudaye Ilm
“Shour-e-Laila Ko Ke Baaz Araeesh-e-Souda KunandKhak-e-Majnu Rah Ghubar-e-Khatir-e-Sehra Kunand”
Khol De Ga Dast-e-Wehshat Uqda-e-Taqdeer KoTor Kar Pohenchun Ga Main Punjab Ki Zanjeer Ko
Dekhta Hai Dida-e-Heeran Teri Tasveer KoKya Tasalli Ho Magar Garvidah-e-Taqreer Ko
“Taab-e-Goyai Nahin Rakhta Dehan Tasveer KaKhamoshi Kehte Hai Jis Ko, Hai Sukhan Tasveer Ka”