Mere Weerane Se Kouson Door Hai Tera WatanHai Magar Darya’ay Dil Teri Kashish Se Moujzan
Qasad Kis Mehfil Ka Hai Hai? Ata Hai Kis Mehfil Se TuZard Ru Shayad Huwa Ranj-e-Reh-e-Manzil Se Tu
Afreenish Mein Sarapa Noor Tu, Zulmat Hun MainIss Seh Rozi Pe Lekin Tera Hum Qismat Hun Main
Ah, Main Jalta Hun Souz-e-Ishtiaq-e-Deed SeTu Sarapa Souz Dagh-e-Minnat-e-Khursheed Se
Aik Halqe Par Agar Qaeem Teri Rafter HaiMeri Gardish Bhi Misal-e-Gardish-e-Parkaar Hai
Zindagi Ki Rah Mein Sargardan Hai Tu, Heeran Hun MainTu Farozan Mehfil-e-Hasti Mein Hai, Souzan Hun Main
Main Rah-e-Manzil Mein Hun, Tu Bhi Rah-e-Manzil Mein HaiTeri Mehfil Mein Jo Khamoshi Hai, Mere Dil Mein Hai
Tu Talab Khu Hai To Mera Bhi Yehi Dastoor HaiChandani Hai Noor Tera, Ishq Mera Noor Hai
Anjuman Hai Aik Meri Bhi Jahan Rehta Hun MainBazm Mein Apni Agar Yakta Hai Tu, Tanha Hun Main
Mehr Ka Partou Tere Haq Mein Hai Pegham-e-AjalMehv Kar Deta Hai Mujh Ko Jalwa-e-Husn-e-Azal
Phir Bhi Ae Mah-e-Mubeen! Main Aur Hun Tu Aur HaiDard Jis Pehlu Mein Uthta Ho, Woh Pehlu Aur Hai
Garcha Main Zulmat Sarapa Hun, Sarapa Noor TuSaikron Manzil Hai Zauq-e-Aghi Se Door Tu
Jo Meri Hasti Ka Maqsad Hai, Mujhe Maloom HaiYe Chamak Woh Hai,Jabeen Jis Se Teri Mehroom Hai