رمزِ زندگیRamz E Zindagi

بلال

Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 13 sher · Roman Urdu ke saath

Chamak Utha Jo Sitara Tere Muqaddar KaHabash Se Tujh Ko Utha Kar Hijaz Laya
Woh Astan Na Chuta Tujh Se Aik Dam Ke LiyeKisi Ke Shauq Men Tu Ne Maze Sitam Ke Liye
Jafa Jo Ishq Mein Hoti Hai Woh Jafa Hi NahinSitam Na Ho To Mohabbat Mein Kuch Maza Hi Nahin
Nazar Thi Soorat-e-Salman (R.A.) Ada Shanas TeriSharab-e-Deed Se Bharti Thi Aur Piyas Teri
Tujhe Nazare Ka Misl-e-Kaleem(A.S.) Souda ThaAwais (R.A.) Taqat-e-Deedar Ko Tarasta Tha
Teri Nazar Ko Rahi Deed Mein Bhi Hasrat-e-DeedKhunak Dile Ke Tapedo Dame Naya Saeeyd
Gari Woh Barq Teri Jaan-e-Nashakaiba ParKe Khandazan Teri Zulmat Thi Dast-e-Musa Par
Tapish Za Shaola Griftand Wa Bar-e-Dil TozandChe Barq-e-Jalwa Bakhashak-e-Hasil-e-Tozand!
Khosha Woh Waqt Ke Yasrab-e-Maqam Tha Uss KaKhosha Woh Dour Ke Didar Aam Tha Uss Ka