رمزِ زندگیRamz E Zindagi

بچہ اور شمع

Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 15 sher · Roman Urdu ke saath

Kaisi Hairani Hai Ye Ae Tiflak-e-Parwana Khu!Shama Ke Shaolon Ko Ghariyon Dekhta Rehta Hai Tu
Ye Meri Aghosh Mein Baithe Huwe Junbish Hai KyaRoshni Se Kya Baghal Geeri Hai Tera Mudda?
Iss Nazare Se Tera Nanha Sa Dil Heeran HaiYe Kisi Dekhi Huwi Shay Ki Magar Pehchan Hai
Shama Ek Shaola Hai Lekin Tu Sarapa Noor HaiAh! Iss Mehfil Mein Ye Uryan Hai Tu Mastoor Hai
Dast-e-Qudrat Ne Isse Kya Jane Kyun Uryan Kiya!Tujh Ko Khak-e-Teera Ke Fanoos Mein Pinhan Kiya
Noor Tera Chup Gya Zair-e-Naqab-e-AaghiHai Ghubar-e-Didah-e-Beena Hijab-e-Aaghi
Zindagaani Jis Ko Kehte Hain Faramoshi Hai YeKhawab Hai, Ghaflat Hai, Sar Masti Hai, Behoshi Hai Ye
Mehfil-e-Qudrat Hai Ek Darye Be-Payan-e-HusnAnkh Agar Dekhe To Har Qatre Mein Hai Toofan-e-Husn
Husn, Kohistan Ki Haibatnaak Khamoshi Mein HaiMehr Ki Zou Gastri, Shab Ji Siyah Poshi Mein Hai
Asman-e-Subah Ki Aaeena Poshi Mein Hai YeSham Ki Zulmat, Shafaq Ki Gul Faroshi Mein Hai Ye
Azmat-e-Dairina Ke Mitte Huwe Asaar MeinTiflak-e-Na Ashna Ki Koshish-e-Guftar Mein
Sakinan-e-Sehan-e-Gulshan Ki Hum Awazi Mein HaiNanhe Nanhe Taeeron Ki Ashiyan Saazi Mein Hai
Chashma-e-Kuhsar Mein, Darya Ki Azadi Mein HusnShehr Mein, Sehra Mein, Weerane Mein, Abadi Mein Husn
Rooh Ko Lekin Kisi Gum Gashta Shay Ki Hai HawasWarna Iss Sehra Mein Kyun Nalan Hai Ye Misl-e-Jaras!
Husn Ke Iss Aam Jalwe Mein Bhiye Betaab HaiZindagi Iss Ki Misal-e-Maahi-e-Be Aab Hai