Khuda Se Husn Ne Ek Roz Ye Sawal KiyaJahan Mein Kyun Na Mujhe Tu Ne La-Zawal Kiya
Mila Jawab Ke Tasveer-e-Khana Hai DunyaShab-e-Daraz-e-Aadam Ka Fasana Hai Dunya
Huwi Hai Rang-e-Taghiyar Se Jab Namood Uss KiWohi Haseen Hai Haqiqat Zawal Hai Jis Ki
Kahin Qareeb Tha, Ye Gutugu Qamar Ne SuniFalak Pe Aam Huwi, Akhtar-e-Sehar Ne Suni
Sehar Ne Tare Se Sun Kar Sunayi Shabnam KoFalak Ki Baat Bata Di Zameen Ke Mehram Ko
Bhar Aye Phool Ke Ansu Payam-e-Shabnam SeKali Ka Nanha Sa Dil Khoon Ho Gya Gham Se
Chaman Se Rota Huwa Mousam-e-Bahar GyaShabab Sair Ko Aya Tha, Sogawar Gya