سوامي رام تير تھ
Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 6 sher · Roman Urdu ke saath
Hum Baghal Darya Se Hai Ae Qatra-e-Betaab TuPehle Gohar Tha, Bana Ab Kohar-e-Nayab Tu
Aah! Khola Kis Ada Se Tu Ne Raaz-e-Rang-o-BuMain Abhi Tak Hun Aseer-e-Imtiaz-e-Rang-o-Bu
Mit Ke Ghogha Zindagi Ka Shorish-e-Mehshar BanaYe Sharah Bujh Ke Atish Khana-e-Azar Bana
Nafi-e-Hasti Ek Karishma Hai Dil-e-Agah Ka‘LA’ Ke Darya Mein Nihan Moti Hai ‘ILLALLAH’ Ka
Chashm-e-Nabeena Se Makhfi Maani-e-Anjaam HaiTham Gyi Jis Dam Tarap, Seemab Seem-e-Kham Hai
Torh Deta Hai But-e-Hasti Ko Ibraheem-e-IshqHosh Ka Daru Hai Goya Masti-e-Tasneem-e-Ishq