Jis Tarah Doobti Hai Kishti-e-Simeen-e-QamarNoor-e-Khursheed Ke Toofan Mein Hangam-e-Sehar
Jaise Ho Jata Hai Gum Noor Ka Le Kar AnchalChandani Raat Mein Mehtab Ka Hum-Rang Kanwal
Jalwa-e-Toor Mein Jaise Yad-Baiza-e-KaleemMouja-e-Nukhat-e-Gulzar Mein Ghunche Ki Shamim
Hai Tere Seel-e-Mohabbat Mein Tunhi Dil MeraTu Jo Mehfil Hai To Hangama-e-Mehfil Hun Mein
Husn Ki Barq Hai Tu, Ishq Ka Hasil Hun MeinTu Sehar Hai To Mere Ashk Hain Shabnam Teri
Sham-e-Ghurbat Hun Agar Main To Shafaq Tu MeriMere Dil Mein Teri Zulfon Ki Preshani Hai
Teri Tasveer Se Paida Meri Herani HaiHusn Kamil Hai Tera, Ishq Hai Kamil Mera
Hai Mere Bagh-e-Sukhan Ke Liye Tu Baad-e-BaharMere Betaab Takhiyyul Ko Diya Tu Ne Qarar
Jab Se Abad Tera Ishq Huwa Seene MeinNaye Jouhar Huwe Paida Mere Aaeene Mein
Husn Se Ishq Ki Fitrat Ko Hai Tehreek-e-KamalTujh Se Sar-Sabz Huwe Mer Umeedon Ke Nihal