رمزِ زندگیRamz E Zindagi

کوشش نا تما م

Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 6 sher · Roman Urdu ke saath

Furqat-e-Aftab Mein Khati Hai Paich-o-Taab SubhaChasm-e-Shafaq Hai Khoon Fashan Akhtar-e-Shaam Ke Liye
Rehti Hai Qais-e-Roz Ko Laila-e-Sham Ki HawasAkhtar-e-Subah Muztarib Taab-e-Dawam Ke Liye
Kehta Tha Qutb-e-Asman Qafla-e-Najoom SeHumraho, Main Taras Gya Lutf-e-Kharaam Ke Liye
Soton Ko Naddiyon Ka Shauq, Behar Ka Naddiyon Ko IshqMoja-e-Behar Ko Tapish Mah-e-Tamam Ke Liye
Husn-e-Azal Ke Parda-e-Lala-o-Gul Mein Hai NihanKehte Hain Be-Qarar Hai Jalwa-e-Aam Ke Liye
Raaz-e-Hayat Puch Le Khizr-e-Khajasta Gaam SeZinda Har Aik Cheez Hai Kosish-e-Natamam Se