Talash-e-Gosha-e-Uzlat Mein Phir Raha Hun MainYahan Pahar Ke Daman Mein Aa Chupa Hun Main
Shikasta Geet Mein Chashmon Ke Dilbari Hai KamalDua-e-Tiflik-e-Guftar Azma Ki Misal
Hai Takht-e-La'al-e-Shafaq Par Jaloos-e-Akhtar-e-ShamBehisht-e-Didah-e-Beena Hai Husn-e-Manzar-e-Sham
Sukoot-e-Sham-e-Judai Huwa Bahana MujheKisi Ki Yaad Ne Sikhla Diya Tarana Mujhe
Ye Kaifiat Hai Meri Jaan-e-Na-Shakiba KiMeri Misal Hai Tifl-e-Sagheer-e-Tanha Ki
Andheri Raat Mein Karta Hai Woh Surood AaghazSada Ko Apni Samajhta Hai Ghair Ki Awaz
Yunhi Mein Dil Ko Payam-e-Shakeeb Deta HunShab-e-Firaq Ko Goya Faraib Deta Hun