زندگي انساں کي اک دم کے سوا کچھ بھي نہيں
Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 4 sher · Roman Urdu ke saath
Zindagi Insan Ki Ek Dam Ke Sawa Kuch Bhi NahinDam Hawa Ki Mouj Hai, Ram Ke Siwa Kuch Bhi Nahin
Gul Tabassum Keh Raha Tha Zindagaani Ko MagarShama Boli, Girya-e-Gham Ke Siwa Kuch Bhi Nahin
Raaz-e-Hasti Raaz Hai Jab Tak Koi Mehram Na HoKhul Gya Jis Dam To Mehram Ke Siwa Kuch Bhi Nahin
Zaeeran-e-Kaaba Se Iqbal Ye Puche KoiKya Haram Ka Tohfa Zamzam Ke Siwa Kuch Bhi Nahin