الہي عقل خجستہ پے کو ذرا سي ديوانگي سکھا دے
Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 6 sher · Roman Urdu ke saath
Elahi Aqal-e-Khujasta Pe Ko Zara Si Diwangi Sikha DeIsse Hai Sodaye Bakhya Kari, Mujhe Sirr-e-Pairhan Nahin Hai
Mila Mohabbat Ka Souz Mujh Ko To Bole Subah-e-Azal FarishteMisal-e-Shama-e-Mazar Hai Tu, Teri Koi Anjuman Nahin Hai
Yahan Kahan Hum-Nafas Mayyasar, Ye Dais Na-Ashna Hai Ae Dil !Woh Cheez Tu Mangta Hai Mujh Se Ke Zair-e-Charakh-e-Kuhan Nahin Hai
Nirala Sare Jahan Se Iss Ko Arab Ke Maamaar (S.A.W.) Ne BanayaBina Humare Hisar-e-Millat Ki Ithaad-e-Watan Nahin Hai
Kahan Ka Ana, Kahan Ka Jana, Faraib Hai Imtiaz-e-UqbaNamood Har Shay Mein Hai Humari, Kahin Humara Watan Nahin Hai
Mudeer-e-‘Makhzan’ Se Koi Iqbal Ja Ke Mera Payam Keh DeJo Kaam Kuch Kar Rahi Hain Qoumain, Unhain Mazaq-e-Sukhan Nahin Hai