زمانہ آيا ہے بے حجابي کا ، عام ديدار يار ہو گا
Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 17 sher · Roman Urdu ke saath
Zamana Aya Hai Behijabi Ka, Aam Didar-e-Yar Ho GaSakoot Tha Parda Dar Jis Ka, Woh Raaz Ab Ashkar Ho Ga
Guzar Gya Ab Woh Dor Saqi Ke Chup Ke Peete The Peene WaleBane Ga Sara Jahan Maikhana, Har Koi Bada Khwar Ho Ga
Kabhi Jo Awara’ay Junoon The, Woh Bastiyon Mein Phir Aa Basain GeBarhna Payi Wohi Rahe Gi, Magar Naya Khar Zaar Ho Ga
Suna Diya Gosh-e-Muntazir Ko Hijaz Ki Khamshi Ne AkhirJo Ehad Sehraiyon Se Bandha Gya Tha, Phir Ustawar Ho Ga
Nikl Ke Sehra Se Jis Ne Roma Ki Saltanat Ko Ulat Diya ThaSuna Hai Ye Qudsiyon Se Main Ne, Woh Sher Phir Hoshyar Ho Ga
Kiya Mera Tazkara Jo Saqi Ne Badah Khawaron Ki Anjuman MeinTo Peer-e-Maikhana Sun Ke Kehne Laga Ke Munh Phat Hai, Khuwar Ho Ga
Diyar-e-Maghrib Ke Rehne Walo ! Khuda Ki Basti Dukan Nahin HaiKhara Jise Tum Samajh Rahe Ho, Woh Ab Zr-e-Kam Ayaar Ho Ga
Tumhari Tehzeeb Apne Khanjar Se Ap Hi Khudkushi Kare GiJo Shakh-e-Nazuk Pe Ashiyana Bane Ga, Na Paidar Ho Ga
Safina’ay Barg-e-Gul Bana Le Ga Qafla Moor-e-Natawan KaHazar Moujon Ki Ho Kashakash Magar Ye Darya Se Paar Ho Ga
Chaman Mein Lala Dikhata Phirta Hai Dagh Apna Kali Kali KoYe Janta Hai Ke Iss Dikhawe Se Dil Jalon Mein Shumar Ho Ga
Jo Aik Tha Ae Nigah Tu Ne Hazar Kar Ke Humain DikhayaYehi Agar Kaifiyat Hai Teri To Phir Kise Itibaar Ho Ga
کہا جوقمری سے میں نے اک دن ، یہاں کے آزاد پا بہ گل ہیںتوغنچے کہنے لگے ، ہمارے چمن کا یہ رازدار ہو گا
Kaha Jo Qumri Se Main Ne Ek Din, Yahan Ke Azad Pa Ba Gil HainTo Ghunche Kehne Lage, Humare Chaman Ka Ye Raazdaar Ho Ga
Khuda Ke Ashiq To Hain Hazaron, Bannu Mein Phirte Hain Mare MareMein Uss Ka Banda Bano Ga Jis Ko Khuda Ke Bandon Se Pyar Ho Ga
Ye Rasm-e-Bazm-e-Fana Hai Ae Dil! Gunah Hai Junbish-e-Nazar BhiRahe Gi Kya Abru Humari Jo Tu Yahan Be-Qarar Ho Ga
Mein Zulmat-e-Shab Mein Le Ke Niklun Ga Apne Darmandah Karwan KoSharar Fishan Ho Gi Aah Meri, Nafas Mera Shaola Bar Ho Ga
Nahin Hai Ghair Az Namood Kuch Bhi Jo Maddaa Teri Zindagi KaTu Ek Nafas Mein Jahan Se Mitna Tujhe Misl-e-Sharaar Ho Ga
Na Pooch Iqbal Ka Thikana, Abhi Wohi Kaifiyat Hai Uss KiKahin Sar-e-Rah Guzar Baitha Sitam Kash-e-Intizar Ho Ga