رمزِ زندگیRamz E Zindagi

نمود صبح

Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 9 sher · Roman Urdu ke saath

Ho Rahi Hai Zair-e-Daman-e-Ufaq Se AashkarSubah Yani Dukhtar-e-Doshiza-e-Lail-o-Nahar
Pa Chuka Fursat Durood-e-Fasl-e-Anjum Se SipihrKisht-e-Khawar Mein Huwa Hai Aftab Aaeena Kaar
Aasman Ne Amad-e-Khursheed Ki Pa Kar KhabarMehmil-e-Parwaz-e-Shab Bandha Sar-e-Dosh-e-Ghubar
Shaola Khursheed Goya Hasil Iss Khaiti Ka HaiBoye The Dehqan-e-Gardoon Ne Jo Taron Ke Sharaar
Hai Rawan Najam-e-Sehar, Jaise Ibadat Khane SeSub Se Peche Jaye Koi Abid-e-Shab Zinda Dar
Kya Saman Hai Jis Tarah Ahista Ahista KoiKhainchta Hi Miyan Ki Zulmat Se Taigh-e-Aabdar
Matla-e-Khursheed Mein Muzmar Hai Yun Mazmoon-e-SubahJaise Khalwat-Gah-e-Meena Mein Sharab-e-Khushgawar
Hai Teh-e-Damaan-e-Baad-e-Ikhtilaat Angaiz-e-SubahShaurish-e-Naqoos, Awaz-e-Azan Se Humkinar
Jaage Koeel Ki Azan Se Taeeran-e-Naghma SanjHai Tarannum Raiz Qanoon-e-Sehr Ka Taar Taar