Iss Dour Mein Mai Aur Hai, Jaam Aur Hai Jam AurSaqi Ne Bina Ki Rawish-e-Lutf-o-Sitam Aur
Muslim Ne Bhi Tameer Kiya Apna Haram AurTehzeeb Ke Azar Ne Tarshawaye Sanam Aur
In Taza Khudaon Mein Bara Sub Se Watan HaiJo Pairhan Iss Ka Hai, Woh Mazhab Ka Kafan Hai
Ye But Ke Tarashida-e-Tehzeeb-e-Nawi HaiGharatgar-e-Kashana-e-Deen-e-Nabwi Hai
Bazu Tera Touheed Ki Quwwat Se Qawi HaiIslam Tera Dais Hai, Tu Mustafavi Hai
Nazzara-e-Dairina Zamane Ko Dikha DeAe Mustafavi Khak Mein Iss Butt Ko Mila De!
Ho Qaid-e-Maqami To Nateeja Hai TabahiReh Behar Mein Azad-e-Watan Soorat-e-Mahi
Hai Tark-e-Watan Sunnat-e- Mehboob (S.A.W.) -e-ElahiDe Tu Bhi Nabuwwat Ki Sadaqat Pe Gawahi
Guftar-e-Siasat Mein Watan Aur Hi Kuch HaiIrshad-e-Nabuwwat Mein Watan Aur Hi Kuch Hai
Aqwam-e-Jahan Mein Hai Raqabat To Issi SeTaskheer Hai Maqsood-e-Tajarat To Issi Se
Khali Hai Sadaqat Se Siasat To Issi SeKamzor Ka Ghar Hota Hai Gharat To Issi Se
Aqwam Mein Makhlooq-e-Khuda Batti Hai Iss SeQoumiat-e-Islam Ki Jar Katti Hai Iss Se