رمزِ زندگیRamz E Zindagi

نصيحت

Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 12 sher · Roman Urdu ke saath

Tu Bhi Hai Shewa-e-Arbab-e-Raya Mein KamilDil Mein Landan Ki Hasas, Lab Pe Tere Zikr-e-Hijaz
Khatam Taqreer Teri Midhat-e-Sarkar Pe HaiFikr-e-Roshan Hai Tera Mujad-e-Aaeen-e-Niaz
Dar-e-Hukkam Bhi Hai Tujh Ko Maqam-e-MehmoodPalicy Bhi Teri Pecheeda Ter Az Zulf-e-Ayaz
Aur Logon Ki Tarah Tu Bhi Chupa Sakta HaiParda-e-Khidmat-e-Deen Mein Hawas-e-Jah Ka Raaz
Nazar Aa Jata Hai Masjid Mein Bhi Tu Eid Ke DinAsr-e-Wa’az Se Hoti Hai Tabiat Bhi Gudaz
Dast Parward Tere Mulk Ke Akhbar Bhi HainChairna Farz Hai Jin Par Teri Tashheer Ka Saaz
Iss Pe Turra Hai Ke Tu Shair Bhi Keh Sakta HaiTeri Meenaye Sukhan Mein Hai Sharab-e-Shiraz
Jitne Ausaf Hain Leader Ke, Wo Hain Tujh Mein SabhiTujh Ko Lazim Hai Ke Ho Uth Ke Shareek-e-Tag-o-Taaz
Gham-e-Sayyad Nahin, Aur Par-o-Baal Bhi HainPhir Sabab Kya Hai, Nahin Tujh Ko Damagh-e-Parwaz
“Aaqabat  Manzil-e-Ma Wadi-e-Khamoshan-e-AstHaliya Ghughula Dar Gunbad-e-Aflak Andaz”