Manzar-e-Chamnistan Ke Zaiba Hun Ke Na-ZaibaMehroom-e-Amal Nargis Majboor-e-Tamasha Hai
Raftar Ki Lazzat Ka Ehsas Nahin Iss KoFitrat Hi Sanobar Ki Mehroom-e-Tamanna Hai
Tasleem Ki Khugar Hai Jo Cheez Hai Dunya MeinInsan Ki Har Quwwat Sargaram-e-Taqaza Hai
Iss Zarre Ko Rehti Hai Wussat Ki Hawas Har DamYe Zarra Nahin, Shaid Simta Huwa Sehra Hai
Chahe To Badal Dale Haeeyat Chamanistan KiYe Hasti-e-Dana Hai, Beena Hai, Tawana Hai