رمزِ زندگیRamz E Zindagi

خطاب بہ جوانان اسلام

Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 12 sher · Roman Urdu ke saath

Kabhi Ae Naujawan Muslim, Tadabbur  Bhi Kiya Tu NeWoh Kya Gardoon Tha Tu Jis Ka Hai Ek Toota Huwa Tara
Tujhe Iss Qoum Ne Pala Hai Aghosh-e-Muhabbat MeinKuchal Dala Tha Jis Ne Paon Mein Taj-e-Sar-e-Dara
Tamaddun Afreen, Khallaq-e-Aaeen-e-JahandariWoh Sehra-e-Arab Yani Shutar-Banon Ka Gehwara
Sama ‘Al-Faqru Fakhri’ Ka Raha Shan-e-Amarat Mein‘Baab-o-Rang-o-Khal-o-Khat Che Hajat Rooye Zaibara’
Gadai Mein Bhi Woh Allah Wale The Ghayoor ItneKe Mun’em Ko Gada Ke Dar Se Bakhshish Ka Na Tha Yara
Gharz Main Kya Kahun Tujh Se Ke Woh Sehra Nasheen Kya TheJahangeer-o-Jahan Dar-o-Jahan Baan-o-Jahan Aara
Agar Chahon To Naqsha Khainch Kar Alfaz Mein Rakh DunMagar Tere Takhiyyul Se Se Fazoon Tar Hai Woh Nazara
Hukumat Ka To Kya Rona Ke Woh Ek Aarzi Shay ThiNahin Dunya Ke Aaeen-e-Musallam Se Koi Chara
"Ghani Rouz-e-Siyah-e-Peer-e-Kanaan Ra Tamasha KunKe Noor-e-Didah Ash Roshan Kunan Chashm-e-Zulekhara”