رمزِ زندگیRamz E Zindagi

شفاخانہ حجاز

Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 8 sher · Roman Urdu ke saath

Ek Paishwaye Qoum Ne Iqbal Se KahaKhulne Ko Jaddah Mein Hai Shifa Khana-e-Hijaz
Hota Hai Teri Khak Ka Har Zarra Be-QararSunta Hai Tu Kisi Se Jo Afsana-e-Hijaz
Dast-e-Junoon Ko Apne Barha Jaib Ki TarafMashoor Tu Jahan Mein Hai Diwana-e-Hijaz
Daru-Shifa Hawali-e-Batha Mein ChahyeNabz-e-Mareez Panja-e-Esa Mein Chahye
Talkhabah-e-Ajal Mein Jo Ashiq Ko Mil GyaPiya Na Khizr Ne Mai-e-Umer-e-Daraz
Auron Ko Dain Huzoor! Ye Pegham-e-ZindagiMain Mout Dhoondta Hun Zameen-e-Hijaz Mein
Aye Hain App Le Ke Shifa Ka Payam KyaRakhte Hain Ahl-e-Dard Masiha Se Kaam Kya!