رمزِ زندگیRamz E Zindagi

دعا

Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 10 sher · Roman Urdu ke saath

Ya Rab! Dil-e-Muslim Ko Woh Zinda Tamana DeJo Qalb Ko Garma De, Jo Rooh Ko Tarpa De
Phir Wadi-e-Faran Ke Har Zarre Ko Chamka DePhir Shauq-e-Tamasha De, Phir Zauq-e-Taqaza
Bhatke Huway Aahu Ko Phir Soo’ay Haram Le ChalIss Sheher Ke Khugar Ko Phir Wusaat-e-Sehra De
Paida Dil-e-Weeran Mein Phir Shaurish-e-Mehshar KarIss Mehmil-e-Khali Ko Phir Shahid-e-Laila De
Iss Dour Ki Zulmat Mein Har Qalb-e-Preshan KoWoh Dagh-e-Mohabbat De Jo Chand Ko Sharma De
Riffat Mein Maqasid Ko Humdosh-e-Surraya KarKhuddari-e-Sahil De, Azadi-e-Darya De
Be Lous Mohabbat Ho, Bebak Sadaqat HoSeenon Mein Ujala Kar, Dil Soorat-e-Meena De
Ehsas Anayat Kar Asaar-e-Mosibat KaAmroz Ki Shuarish Mein Andesha-e-Farda De