رمزِ زندگیRamz E Zindagi

محاصرہ ادرنہ

Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 8 sher · Roman Urdu ke saath

Yourap Mein Jis Ghari Haq-o-Batil Ki Chir GyiHaq Khanjar Aazmai Pe Majboor Ho Gya
Gard-e-Saleeb, Gard-e-Qamar Halqa Zan HuwiShikri Hisar-e-Darna Mein Mehsoor Ho Gya
Muslim Sipahiyon Ke Zakheere Huwe TamamRooye Umeed Aankh Se Mastoor Ho Gya
Akhir Ameer-e-Askar-e-Turkey Ke Hukm Se‘Aaeen-e-Jang’ Sheher Ka Dastoor Ho Gya
Har Shay Huwi Zakheera-e-Lashkar Mein MuntaqilShaheen Gadaye Dana-e-Usfoor Ho Gya
Lekin Faqeeh-e-Sheher Ne Jis Dam Suni Ye BaatGarma Ke Misl-e-Saeeqa-e-Toor Ho Gya
‘Zimmi Ka Maal Lashkar-e-Muslim Pe Hai Haraam’Fatwa Tamam Sheher Mein Mashoor Ho Gya
Chhuti Na Thi Yahood-o-Nasara Ka Maal FoujMuslim, Khuda Ke Hukm Se Majboor Ho Gya